Ahmad Faraz

 

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa              

Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.

Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou

Rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa.

Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham

Tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa.

Kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh

Tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa.

Ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum

Aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa.

Urdu shayari in english
Scroll to Top